Saturday, May 06, 2006

Arz kiya hai

"Meri khwahison se musalsal uth raha hai dhuan
Koi tou hai jo reh reh kar jalata hai khwaab mere"

kabhi kabhi anjane mein kuch panktiyaan yun hi zehan mein aa jati hai ..... jinhe likh kar insaan sochne par majboor ho jata hai ke zindagi insaan ko thoda de kar usse kahi jyada le leti hai. Mujhe nahin pata ke Galib ne kya soch kar likha tha ke Hazaron khwahisen aissi ke har khwahish pe dum nikle, bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kum nikle magar toot-te sapno aur bikharte armanon ko dekh kar lagta hai ke sayad koi khush nahin hai mujhse aur isiliye mere khawabon mein aag laga raha hai vo..........


0 Comments:

Post a Comment

<< Home